Pages

Tuesday, August 24, 2010

loktantra ki paribhasha

kamal hai na , jo neta aapke darwaze par aakar aapse vote ki guzarish karta hai , wahi sansad me pahuchne ke baad wetan bhogi ban jaata hai , aur adhik se adhik tankhwah wa suwidhaon ki demand karta hai, ye apne aapko desh sewi wa deshbhakta kahte hai , par sachchai iske itar hai, yahi neta aaj suvidhaon ke liye sansad ki garima ko dhul -dhusrit karne me lage huye hain , jabki inko jitni sahuliyaten muhaiya kari jati hain, yadi uska kuchh hissa bhi bhartiya janata ko mile to gari aur garibi rekha ka naatak khatm ho sakta hai. (Hindi me padhe)

No comments: